Monday, November 15, 2010

.....my last night dream

the sun was dipping when the honour guard reversed their rifles, and the trumpets played the last post. The crowd of warriors fell quiet. In the stillness, everyone can hear the bullets slide into the breech, and the uniforms rustle as the rifles were raised to 60degrees. The crackle of gun-fire was a shock. Once, twice, thrice.......twenty-first. And then all was still again.

A single wail broke out somewhere "MARTYR NEVER DIES": Then a lone cry of "LIVE LONG LIFE IN OUR HEART". And then a crescendo. A sea of people aloft pictures, posters & banners as they marched with the gun carriage along Parade Ground. 
Mother crying and her was a pain shared by thousands. Braving the bitter pre-dawn cold, dozens of warriors had started arriving to Parade Ground before the sun broke through the fog.
It was grand. It was humbling. It gave a measure of the man & that of the people whose destinies I had controlled and will be with them forever.
The send-off that warriors gave revived memories of the LION IN SUMMER, the zenith of Martyr rule and most of all, the mega human emotions that only a few can summon.


I don't remember what exactly it was.....I think it will be my LAST JOURNEY.
Hare Krishna Maharaj

Sunday, November 14, 2010

LOVE.....aaj - kal

...its a conversation between a boy and a girl @ night time......its all about modern love...so read this and enjoy
She gives a missed call to him … and He calls her back…
 
She: Hello! 

He: {are yaar…Raat ke 10 bajte nahin ki iski 2-2 second waali missed calls shuru…pata nahi aaj kya bore karegi} Hi …kya baat hai..? 

She: kuch nahi…bas aise hi phone kiya… 

He: {Aise hee ??? Yeh kya Radio Station hai ki aise hee …!! Aur Call kahan kiya ?… khali missed call to diya hai, roz ki tarah…}

oh…ok ..kya kar rahi thi ?? 

She: abhi abhi dinner khatam kiya…tum kya kar rahe the? 

He: {mai to lunch karke utha hoon na}

Mera bhi abhi abhi dinner khatam hua.. ab…."Ladki Kyon Najaane Kyon" sun raha hu FM par….

She: nice song… (And then she hums a line from the song "Hum Tum") 

He: {Yaaaaaaaaarrrrr …kyun bola gaane ka naam .. Ab ye Madonna saare raag gaa degi yaheen}

Hey!!!! Tum itni achchi gaati ho? mujhe pata hi nahi tha .. 
She: *giggles* 

He: {Ohhhho kya hansti hai .. aisa lag raha hai koi gaadi start kar raha hai}
Hey ek aur baar gaao na pls! 

She: Yehan sab so rahe hai… Agar main gaaongi to sab uth jaaenge… 

He: {Ekdum Correct…woh yehi samjhenge ki koi paagal, kisi baat par naraaz ho gayi hai …}
Come on! Please! 

She: Hattt …I don’t sing that well 

He: {Yeh to saari duniya ko pata hai… paka kyun rahi hai}
It was really sweet. Please gaao na dear … 

She: Mujhe kuch ajeeb sa lagta hai jaan …

He: {mujhe tujhse jyada ajeeb lagta hai, dekh phir bhi shaheed hone ko tayaar baitha hoon}
Aisa kuch bhi nahi hai jaanu…gaao na
He: {mere ko doosra raasta nahi hai….is liye bola}
Abhi tum gaaogi ya nahi ?

She: kyun pareshaan kar rahe ho?

He: Acchha ! Ok Nahi karta 

She: I don’t have that great a voice … ye to aise hee gaa diya tha … warna mai nahin gaati

He: {Fir aise hee ??? bada ehsaan karti agar nahin gaati … kaan mai se khoon nikalne waala hai… saala gadha
bhi sharma jaaye
teri awaaz sunke…}
hmmmm 



She: Theek hai… jab itni zid kar rahe ho… sirf ek stanza gaaungi theek hai?? 

He: {Abbe teri !!! fas gayaaaaa … shittttt … aur kya kya jhelna padega malum nahi…}
Great!!!! 

She: kaunsa gaana gaau ?

He: {Tum kuch bhi gaao… meri to aaj by default neend haraam hai…}
Hmmmm… ‘Mahiya’ from Awarapan? 

She: Nice song. But mujhe lyrics yaad nahi hai 

He: {Thank God … Text book chhodke tujhe aur kya pata hai bol …}
Dhoom Machale? 

She: Nahi main wohi gaana gaaungi

He: {Aye tere nakhre … mai to jaise mara jaa raha hoon teri awaaz sun ne ke liye Shakira … koi bhi gaana gaa….mere kaan to pakne waale hai} cool


(She clears her throat, hums a line and then) 

She: Nahi jaan… I am feeling very shy! 

He: {Tu shuru kyun hoti hai … ek bar shuru hokar khatam kyun nahin karti jaldi jaldi… ab kya Eden Gardens book karun, tab gayegi}
Gaao na…pls gaao na….teri awaaz ki samundar me main doob jaana chahta hoon 

She: dekho….ab tum mujhe naaraaz kar rahe ho … 


He: {Achchha ab tujhe manaane mai poore sheher ko phool leke bhejun kya}
No no… Tum shy feel kar rahi ho na…. is liye… Trying to make u comfortable … 

She: Hmmm… 

He: {Ye makkhi ki tarah kya shuru ho gayi}
Please gaao na darling… 

She: Main kal gaaun? 

He: {Haaaaaannnn…jaaan bachi… nikal leta hoon…abhi mauka hai}
Theek hai jaisi tumhaari merzi 

She: Hmmm 

He: Good night 

She: Good night
She: Sweet Dreams… Take care… 

He: Sweets dreams to u too… 

{kaahe ke sweet dreams .. sone degi tab na ayenge dreams …abhi 2 minute mein fir call karegi} 

After a while She calls Him (sorry…that never happens, she gives only a missed call)

She: Hey… so gaye the kya? 

He: {Nahiii…current ka aavishkaar kar raha tha…}
Nahi jaan 

She: kya kar rahe ho? 

He: {Raat ko kya gili danda khelna hai…}
Match dekh raha tha

She: Theek hai tum match dekho 

He: {phone rakhegi to dekhunga na… ya tu running commentary sunayegi}
Hey it’s ok… purana match hai 

She: Did u feel bad I didn’t sing? 

(Since it is a tricky question, He thinks for a while) 

He: {Bad eh? Crazy girl… this was the luckiest day in my life, since you didn’t sing}
Bad toh main nahi keh raha jaanu. But I want you to be comfortable first…. tumhi ne bola ki main kal gaaungi…..
So, me waiting… { maine to socha tha ki aaj bach gaya … dhatttt tereki fus gaya} 

She sings 1 stanza from the song
‘Jiski aankhon me meri hi nami…..’ 

He: Wow. Too good! 

She: jhoot….mujhe maloom hai ki meri awaaz itni achchi nahi hai 

He: {Saamne aa jaa, fir bataata hoon… pagal kar diya… chalo shukr hai self realization hai … J}
Nahi darling you really sing well 

She: nahi..mujhe maloom hai tum bas aise hi keh rahe ho 

He: {Very good.. aakhir tumne pata laga hi liya…..kyun bhagwaan kyun !! mere saath ye julm kyun}
Cheee! Cheee! teri voice agar itni buri hoti to main kya ab tak na sun raha hota 

She: Hmmmm…theek hai.. good night.. ab tum bhi so jaao… 

He: {Achcha mil gayi permission … waise tera gaana sunne ke baad neend kahan aayegi ab …}
Good night! 

She: Take care 

He: You too 

She: Hey…. 

He: {Arrre yaar.. aaj ye nahi chhodegi} kya hai sweety? 

She: sach bataao honey..meri voice achchi hai ya nahi…

He: {Tu apni voice record karke sun kyon nahi leti ek baar !! dimaag ka dahi kar rakha hai .. lassi banaake peeja mere dimaag ki}
sachchi… Of course. 

She: sirf jhoot 

He: {Iski toh… !! jab pata hai to mujhse kya singing sensation ka award legi !! phata dhol…}
Not at all. You sing very well…

She: Hmmm…. tum keh rahe ho to theek hi hoga. Good night.

He: Good Night!


friends its for fun only...so enjoy...and next blog will be posted soon
HARRY

Thursday, October 28, 2010

ek chhoti si love story...

Ye kahani hai do dosto ki….ye kahani hai ek confuse ladki ki jise ye pata hi nahi ki wo kisse pyar karti hai.


Ab aap soch rahe honge ki main ye kya keh raha hu… to dosto….ye hakikat hai is kahani ki shuruwat ek ladki se hoti hai….diya…. jo ki school me padhti hai..ek ladka roz use school jate aur laut te hue dekhta hai…us ladke ka naam vivek hai….



ek din vivek ne diya ko propose kiya aur diya ne kaha ki usne is bare me kabhi socha nahi hai…fir v vivek try karta raha..karta raha…

finally ek din diya ne vivek ko ha keh diya aur  fir shuruwat hui unki prem kahani ki….aur yaha se suru hoti hai AJAB PREM KI GAJAB KAHANI..

ye baat 2004 k kareeb ki rahi hogi….vivek apna engg khatam karke masters k liye IIM-Kolata join karta hai aur diya medical ki taiyaari karti hai…vivek ka MBA complete ho jata hai aur diya ka medical me admission ka sapna toot jata hai…aisi haalat me vivek diya ko sambhalta hai aur use guide karta hai….

diya degree college me admission le leti hai aur dono apne apne life me busy ho jate hain…..
2010 ki baat hai ek din diya ki life me uske ek class mate ki entry hoti hai…MADDY yehi naam uske is class mate ko suit karega kyuki sach me pagal tha wo……usne diya se baat karna suru kiya aur diya aur uski dosti gehri hoti chali gayi ..


ek din diya ne maddy se vivek k bare me bataya aur sath me ye v bataya ki aaj kal vivek nasha karne laga hai kyuki use lagta hai ki main use time nahi de pa rahi hu.












Dosto ab aage ki kahani likhne me please meri madad kare……I need a climax for this story..help me